Tum jab aaogi to khoyaa huaa paaogi mujhe,
Meri duniyaa mein khvaabon ke sivaa kuch bhi nahin
Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
Mere kamre mein kitaabon ke sivaa kuch bhi nahin
In kitaabon ne bahut zulm kiyaa hai mujh par
In mein eik ramz hai jis ramz ka maara huaa zehn,,
Muzhad-e-ishrat-e-anjaam nahin paa saktaa
Zindagi mein kabhi aaraam nahin paa sakta