Friday, December 28, 2012

Tere Pehlo Se

Kaun kehta hay k maut aayi tu mar jaonga 
Main tu darya houn samandar mein utar jaonga 

Tere pehlo se jo thoonga tu mushkil ye hay 
Sirf ik shakhs ko paonga jidhar jaonga 

Ab tere shehar mein aaonga musaafir ki tarah 
Saaya e abr ki maanind guzar jaonga 

Tera paimaan e wafa rah ki deewar bana 
Warna soocha tha jab chahonga mar jaonga 

Chaara saazon se alag hay mera miyaar k main 
Zakham khaonga tu kuch aur sanwar jaonga 

Ab tu khursheed ko doobay hoye sadiyaan guzri 
Ab usay dhoondnay mein taa sehar jaonga 

Zindagi shamma ki maanind jalata hoon zahid 
Bujh tu jaonga magar subha tu kar jaonga