Zillar-e-tanhai se ghabra ke aayi hoon
Mein abhi abhi sheher-e-wafa se aayi hoon
Kuch dair hawa ko baataon mein lagaye rakhna
Mein ghar mein ek charagh jala ke aayi hoon
Uss ne pocha hai ehd-e-wafa nibhahogi
So haathon mein Quran utha ke aayi hoon
Wo chahe to ab mujh se tark-e-talluq kar le
Wo meri zindagi hai usay bata ke aayi hoon
Wo ab bhi mujhe anna-parast samatha hai
Mein jisay ro ro ke mana k aayi hoon