Friday, December 28, 2012

Shab-e-Gham

Jahan phooloun ko khilna tha,waheen khiltey to acha tha 
Tumhi ko humne chaha tha, tumhi milty to acha tha 

Koi aa kar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai 
Tumhare khat ko ashkoun se shab-e-gham mein jalaya hai 

Hazaroun zakhm aise hain agar silte to acha tha 
tumhi ko humne chaha tha tumhi milty to acha tha 

tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aayi hai 
Bahar-e-no jo aayi hai teri khushboo bhi laayi hai 

Tumhare lab meri khatir agar hiltey to acha tha 
Tumhi ko humne chaha tha, tumhi milty to acha tha 

Mila hai lutf humko haseen yadoun ki jhilmil mein 
Kati hai zindagi tum bin magar ek aas hai dil mein 

Agar aate to acha tha agar miltey to acha tha 
Tumhi ko humne chaha tha tumhi miltey to acha tha