Eik saza aur aseeroun ko suna di jaye
ya'ani ab juram e aseeri ki saza di jaye
us ki khwaahish hai k ab log na roiyen na hasien
be hissi waqat ki awaz bana di jaye
Basht e naadeeda ki tehqeeq zaroori hai magar
pehlay jo aag lagi hai wo bujha di jaye
sirf jalna hi nahien hum ko bharakna bhe to hai
Ishq ki aag ko laazim hai hawa di jaye
Sirf sooraj ka nikalna hai agar subah to phir
Eik shab aur meri shab sey milla di jaye
Aur eik taza sitam us ney keya hai eejaad
Us ko is baar zara khul k dua di jaye