Darman-e-gham-e-hijar agar ho to mujhy kiya
Tumhain ab meri khaber ho to mujhy kya
Jab ho gai gam sy meri dunya teh-o-bala
Ab ek jahan zair-o-zabar ho to mujhy kya
Jab khaaq bhi baqi na rahi qalb-o-jigar ki
Ab koi mere liye khaaq basar ho to mujhy kya
Han ab dil-e-veraa'n me ujala nahi hota
Tum gherat-e-khursheed-o-qamar ho to mujhy kya
Aur hy ab meri dunya me sarasar shab-e-furaqt
Ab is shab-e-furqat ki sehar ho tu mujhy kya
Acha hy bin faraz k guzar jaye kisi ki
Aur phir bhi kisi ki na guzar ho tu mujhy kya