Suno Logo
Meri aankhain khareedo ge
Bohat majboor haalat mein
mujhe meelaam karni hain
Koi sujh se naqd le le
main thoray daam kar doon ga
Jo pehli boli de de ga
Usi ke naam kar doon ga
Mujhay bazaar vaalay keh
Rahay hain kam aql taajir
Aray sunsaan logo nahin hoon main hirs ka khwahaan
Nafa nuqsaan ki shatranj
nahin main khelnay aaya
koi mujh ko kahay na
manchala sa behunar taajir
Bata paaoon tumhain kesay kis tashveesh mein rakhoon
suno logo
bari mehboob tar hain mujh
koi meri neem tar aankhain
Magar ab bechta hoon keh
Mujhay ik khaab ka taavaan bharna hai
Suno logo
meri aankhain khareedo ge
Bohot mujboor haalat mein
Mujhay neelaam karni hain