Kal hamesha ki tarah us ney kaha yeh phon per
Me bohat masroof hon
Mujhe bohat se kam hain
Is liye tum aao milne me to aa nahi sakta
Har riwayat tor kar is bar mene keh diya
Tum jo ho masroof to me b bohat masroof hon
Tum jo ho mashoor to me bhi bohat mashoor hoon
Tum agar ho ghamgeen to me bhi bohat ranjoor hon
Tum thakan se chor ho to me bhi thakan se chor hon
Jan-e-man hai mera waqt bhi bohat qeemti
kuch puraney dosto ney anaa hai abi
main bhi ab farid nahi bohat se kam hain mujhe ko
Warna kehne ko to saarey lamhe tumhare hain
Meri ankhein bhi bohat bojahl hain sona hai mujhe
ratjagon k bad ab needon me khona hai mujhe
main lahoo apni anaoun ka baha sakti nahi
Tum jo nahi ate to milne mein bhi aa sakti nahi
Ous ko yeh keh k sagar receiver rakh dia mene
Aus phir apni aana k sir pe paoun rakh diya mene