Hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhain gay
Koi bhi baat pehli se pura'ni hum na likhain gay
WO har ik lafz ke jis per koi sawal uth'taa ho
Safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhain gay
Thi thartey sard mousam to sadaa dil hi dukhaein gay
Tujhay ay shaam-e-ghum ab k suhani hum na likhain gay
Ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paaon
Rehi hoon mein kabhi teri dewani hum na likhain gay
Tu muj pe mehrbaan rehna kabhi naraz na hona
Aiy meri zindagi tujh ko be-guni hum na likhain gay
Wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
Hamain chupke se thi ik din churani hum na likhain gay
Thakan hum ne samaiti hai bohat rah e mohabbat main
Pari dil ki karri keemat chukaani hum na likhain gay