Tuesday, December 11, 2012

Kitab-e-Dil Ka Waraq

Kitab-e-dil ka koi bhi waraq saada nahi hota
Nigah usko bhi padh leti hai jo likha nahi hota 

Use main dekhti rehti hoon yaadon ke chanaron se 
Nighon ki tapish se wo kabhi shola nahi hota 

Hawa ko chuna chahti hoon ke ye usko bhi chuti hai 
Magar mera junoon mujhse kabhi pura nahi hota 

Sunana chahti hoon haal-e-dil jis ek jumle mein 
Bikhar jata hai wo jumla kabhi yakjaa nahi hota 

Tapish is dilki aa pahuchi meri namnaak aankhon tak 
kash jo jal gaya kandha wohi tera nahi hota 

Mujhe is haal tak pahucha diya teri mohabbat ne 
Sitam kaisa bhi ho tujhse koi shikwa n ahi hota...