Kisi khush nigah si ankh ne yeh kamal mujh pe karam kiya
Meri loh-e-jaan pe raqam kiya
Woh jo aik chand sa harf tha woh jo aik sham sanam tha
Woh jo aik phool si baat phirti thi darbadar
Usse gulsitan ka pata diya
Mera dil ke shehar-e-malal tha usse roshni mein basa diya
Meri ankh aur mere khawab ko kisi aik pal mein beham kiya
Mere aeenon pe jo gard thi meh-o-saal ki
Wo utar gaee
Woh jo dhund thi mere char soo woh bikhar gae
Sabhi roop aks-e-jamal ke
Sabhi khawab sham-e-wisaal ke
Jo ghubar-e-waqt mein sar basar thay atay hue
Woh chamak uthe
Woh jo phool rah ki dhool they woh mehak uthe
Liye sat rang bahar ke
Chala mein jo sang bahar ke
To saja diye sabhi raste
Kisi dast-e-shoabda saz ne
Mere naam par mere wastay
Meri beghari ko panah di meri justujoo ko nishan diya
Jo yaqeen se bhi haseen hai mujhe aik aisa guman diya
Woh jo reza reza wajood tha
Usse aik nazar mein baham kiya
Kisi khush nigah si ankh ne
Yeh kamal mujh pe karam kiya