Monday, December 31, 2012

Khush Gumaniyan

Inhi khush gumaniyon mein kahin jaan se bhi na jao 
Wo jo chaaragar nehi hei usse zakhm kyun dikhao 

Ye udaasiyon ke mausam kahin rayengaan na jayein 
Kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao 

Wo kahaniyaan adhuri jo na ho sakengi purri 
Unhe main bhi kyun sunaon unhe tum bhi kyun sunao 

Mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain 
Tumhe saath chorna hei to abhi se chor jao 

Ye judaiyon ke raste beri duur tak gaye hain 
Jo gaya wo phir na laota meri baat maan jao 

Kisi bewafa ki khatir ye junon faraz kab tak 
Jo tumhe bhula chuka hei usse tum bhi bhul jao