Monday, December 31, 2012

Jaan-e-Ghazal

Tu kisi aur jageer hai aye jaan-e-ghazal
Log tufaan utha denge mere sath na chal 

Pehle haq tha teri chahat ke chaman par mera 
Pehele haq tha teri khushbu-e-badan par mera 
Ab mera pyaar tere pyaar ka haqdar nahi 
Main tere gesu-o-rukhsar ka haqdar nahi 
Ab kisi aur ke shano pe hai tera aanchal 
Log tufaan utha denge mere saath na chal 

Main tere pyaar se ghar apna basaun kesay 
Main teri maang sitaron se sajaun kaise 
Meri kismat mein nahi pyaar ki khushboo shayad 
Mere hathon ki lakeeron mein nahi tu shayad 
Apni taqdeer bana mera Muqaddar na badal 
Log tufaan utha denge mere sath na chal