Saturday, December 01, 2012

Itny Mehngy Khwab

Pagal aankhon wali larki...
Itny mehngy khwab na dekhao 
Thak jao gi 

Kanch se nazuk khwab tumhary 
Toot gaye to pachtao gi 
Tum kya janu 

Khwab adhoori raat ka dozakh 
Khwab khayalon ka pachtawa 
Khawabon ka hasil tanhai 

Mehngay khwab khareedna hon to 
aankhain bechna parti hain 
Rishty bhoolna partey hain 

Andeshon ki rait ka phenkho 
Khawabon ki oot saraab na dekho 
Pyaas na dekho 

Itny mehngy khwab na dekho 
Thak jao gi 
Pagal aankhon wali larki