Dil mei ek lehar si uthi hai abhi
Koi taazaa havaa chali hai abhi
Shor barpaa hai khaana-e-dil mein
Koi divaar si giri hai abhi
Kuch to naazuk mizaaj hain hum bhi
Aur ye chot bhi nayi hai abhi
Bhari duniyaa mein ji nahi lagta
Jaane kis chiz ki kami hai abhi
Tou sharik-e-sukhan nahi hai to kiya
Ham shukhan teri khaamoshi hai abhi
Yaad ke be-nishaan jaziron se
Teri aavaaz aa rahi hai abhi
Shahr ke be-chiraagh galiyon mein
Zindagi tujh ko dhundhti hai abhi
So gaye log us havelii ke
Ek khirki magar khuli hai abhi
Tum to yaaro abhi se uth baithe
Shahr mein raat jaagti hai abhi
Waqt acha bhi aayegaa nasir
Gham na kar zindagi pari hai abhi