Ajnabi khahishein seene me dabaa bhi na sakoon
Aise ziddi hain parinde ke udaa bhi na sakoon
Phoonk daalonga kisi roz main dil ki duniya
Ye tera khat to nahi hai k jalaa bahi na sakoon
Meri ghairat bhi koi shai hai ke mehfil me mujhe
Us ne is tarah bulaaya ke jaa bhi na sakoon
Phal to sab mere darakhton pe pake hain lekin
Itni kamzor hain shakhein ke hilaa nahi na sakoon
Ek na ek rooz kahin dhoond hi loonga tujh ko
Thokarin zaher nahi hain ke main kha bhi na sakoon