Maqrooz k bigray huye halaat ki manind
Majboor k honton pe sawalaat ki manind
Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hay
Selaab mein barbad makanaat ki manind
Mein un mein bhatakte huye jugnu ki tarha hun
Us shakhs ki aankhein hain kisi raat ki manind
Dil roz sajata hun mein dulhan ki tarhan se
Gham roz chalay atay hain baraat ki manind
Ab ye bhi nahi yaad k kia naam tha us ka
Jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind
Kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawhish
Masoom se bachay k khayalaat ki manind
Us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hay
Mein pyas ka sehra hun, wo barsat ki manind