Mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazam raat ye kia hua
Meri ankh kaise chalak pari mujhe ranj hai ye bura hua
Mujhe aap kiu na samjh sake ye apne dil se pochiye
Meri dastan-e-hayat ka hai warq warq khula hua
Mujhe humsafar bhi mila koi to meri tarhan hi luta hua
Kabhi manzilon se hata hua kabhi qafion se luta hua
Mujhe ik gali main para hua kisi badnaseeb ka khat mila
Kahin khoon-e-dil se likha hua kahin anoun se mita hua