Monday, December 03, 2012

Bikhra Para Hai

Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main 
Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main 

Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud 
Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main 

Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf 
Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main 

Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath 
Har roz ek shakhs naya dekhta hun main 

Na jane kis ada se liya tune mera nam 
Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main 

Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib 
Do char sal umr mein tujhse bara hun main 

Jaga hua zamir wo aina hai qateel 
Sone se pahale roz jise dekhta hun mein