Barson kay baad dekha,ak shaks dil ruba sa
ab zehen mein nahi hay par naam tha bhala sa
Abro khichay khichay sey ankhain jhuky jhuky se
Baatain rukay rukay sey lehja thaka thaka sa
Khowabon main khowab us ka yaadon main yaad us ki
Nendon main ghul gaya ho jesay keh raat-jaga sa
Pehlay bhi log aaye kitnay hi zindagi mein
Lekin wo har tarah say ouron say tha juda sa
Aglee mohabbaton nay wo na-muradiyaan deen thein
Taza rafakaton say kuch dil tha dara dara sa
Kuch ye keh muddaton say hum bhi nahi they roye
Kuch zehar main bhuja tha ehbaab ka dilasa
Ab sach kahain tu yaron hum ko khabar nahi thi
Ban jaye ga kayamat ak wakiya zara sa
Taivar-berukhi kay andaaz dosti kay
Wo ajnabi tha lakin lagta tha ashna sa
Hum dasht they keh dariya hum zehar they keh amrit
Nahak tha zaam hum ko jab wo nahi tha pyasa