Friday, December 28, 2012

Awak Awak Ki Muhabbat

Awal Awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar 
Bay piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan 

Akhir akhir tu ye aalam hay kay ab hosh nahein 
Rug-e-meena sulag uthi kay rug-e-jaan jaanaan 

Mudatoon say yehi aalam na twaku na umeed 
Dil pukaray hi chalay jaatay hay jaanaan jaanaan 

Hum bhi kia sada thay hum nay bhi samajh rakha tha 
Ghum-e-doraan say judaa hay ghum-e-jaanaan jaanaan 

Ab kay kuch aisi saji mehfil-e-yaraan jaanaan 
Sar ba zanoo hay koi sar bagiraybaan jaanaan 

har koi apni hi awaz say kaanp uthta hay 
Har koi apnay hi saye say hirassan jaanaan 

Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hay 
Shehar ka shehar hua dekhil-e-zindaan jaanaan 

Ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aye 
Aur say aur hoye dard kay unwaan jaanaan 

Hum kay roothi hui rut ko bhi mana letay thay 
Hum nay dekha hi naa tha mousam-e-hijraan jaannaan 

Hosh aya tu sabhi khwaab thay reza reza 
Jaisay urtay hoye awrak-e-pareshaan jaanaan