Tum ajeeb larki ho
Aansuon ko peeti ho
Zehar zindagi ke sub
Sath le ke jeeti ho
Chandni ke haalay ko
Subha ke ujalay ko
Roschni ke badal mein
Jhilmilatay aanchal mein
Baandh ke yun rakhti ho
Tum ajeeb larki ho
CHup ke aahain bharti ho
Roshni se darti ho
Apnay saray sapnon ko
Yun chupa ke rakhti ho
Jaisay saray khwabon per
Ishq ke azabon per
Bus tumhara hi huq hai
Aisay baatain karti ho
Tum ajeeb larki ho
Khwab bunti rehti ho
Khwab ke jharokon se
Mujh ko takti rehti ho
Un-ginat sawalon se
Un-kahay jawabon se
Bus ulajhti rehti ho
Khwab daikhti bhi ho
Tootnay se bhi darti ho
Tum ajeeb larki ho
Tum wafa ki baton per
Muskurati rehti ho
Gehri gehri ankhon se
Dur-ebeen nigahon se
Sub ko dekha karti ho
Aur sub se chup ke phir
Aansu'n ko peeti ho
Janay kaisay jeeti ho
Tum ajeeb larki ho