Tuesday, November 06, 2012

Zamanay Se Nahi Darta,Zamanay Ko Bata Do Tum...

Zamanay se nahi darta, zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera,zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko 
Judayi zakhm hai aisa,zamanay ko bata do tum,

Najanay kyun khatakta hu,main ab un ki nigaho mai 
main thukrata hu ye dunya,zamanay ko bata do tum,

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko 
Mai hu ik aag ka darya,zamanay ko bata do tum,

Hasnain abi waqt un ka hai,rula ley je bhar ke
Hamara waqt bhi aye ga,zamanay ko bata do tum