Saturday, November 03, 2012

Yun Koi Chor Diya Karta Hai Apna Karke

Yun koi chor diya karta hai apna karke
Tum ne tou maar dia mujhe tanha karke

Ek nazar daal kubhi mere maseeha mujh per
Tera kia jaaye ga beemaar ko acha karke

Ay mohabbat ke maraahil se guzarney waalay
Tu ne aansu kubhi dekha hai sitaaray karke

Mein bohat jald tujhe bhanwar mein yaad aaonga 
Itna khush baash na reh mujh se kinaara karke