Saturday, November 17, 2012

Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha

Yahan lehroon nay saahil say judda hona hi tha 
Jis tarhan hum nay chaha us tarhan hona hi tha 

Raiza raiza ho kar beekhra fizzaon main baddan 
Chaandni ki chaah main yeh haadsa hona hi tha 

Hadoon say ghuzar kar hum nay pooja tha jinhain 

Un haseen logon nay aakhir dewata hona hi tha 

Ummar bhar dil shaad  rehta tark-e-ulfat pay mera 
Ek baar tu woh poochta agar bewafa hona hi tha 

Hain mundaamil ab chahatoon k woh zakham 
Jal k dil ki raakh nay akhir dawa hona hi tha