Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha
Aansoo baha kr mujhe manaya karta tha
Ye zindagi sirf tum se wabasta hai
Aksar ye baat mujhe bataya karta tha
Us ki baton mein kuch aisa asar tha
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha
Soney ki fursat kis ko the
Mein mujhe sari raat jagaya karta tha
Bechaini jab had se barh jati the
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha
Wo itni muhabbat karne wala badal gaya
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha