Na he ibteda pay udaas hon na he inteha pay malaal hay
Bina wasl kaisay guzer gaie mera zindagi say sawaal hay
Tujhay poojnay mein guzaar dein main nay sadiyan lail-onahar ke
Teray ishq say bandhi hay jo meri chah la zawaal hay
Meri chahaton say baikhaber tou wadiyun main khoo gaya
Teri yaad ka ik qaafla meri zaat main badhal hay
Kaie uljhanon say sujee hoe meri zindagi ke lakeer main
Kehin qarbay mazi-o-hal hay kehin moj-e-dard-e-wisaal hay
Kabhi khawhishon ke talab mujhay kabhi baiyaqeeni ka dar mujhay
Mera nafs jis simt bhe chalay wohi rusta mere sawaal hay
Teray aks main pinhan hon main teray dard say jurd hon main
Tujhay soochna tau azeem hay tujhay pana kasb-e-muhaal hay
Kehin ishq hay kehin nuferatain kehin baibasi ke udaasiyan
Yehi zindagi ke hain raahatain yehi zindagi ka wabaal hay
Kisay dil say shaukat juda krain kisay dil main apnay panah dain
Issi kashmakash main jeeye chalo yehi bandege ka jamaal hay