Mujh ko bhi,bewafa samajhta hai
Jaanay wo khud ko kia samajhta hai?
Mein tou manzil samajhta hun osko
Wo mujhe raasta samajhta hai
Zakham apna dikha raha hun ose
Jo namak ko dawaa samajhtaa hai
Had tou ye hai ke bhaint charh ke bhi
Dil ose devta samajhta hai
Mera mayaar jag mein hai hee kahan
Jag mujhe,paarsa samajhta hai
Yaani itni sitam tou seh lega
Jitna sab per rawa samajhta hai
Osko ehraam-e-misar dikhlao
Jo bhi khud ko khudaa samajhta hai
Aaj ke dour mein jafaa ko janaab
Sirf paagal, jafaa samajhta hai
Aqal mand aadmi,mohabbat ko
Aqal se maawra samajhta hai
Qais ka kia banat ga, Laila ko
Aakhri aasra samajhta hai ...