Bhanwar main her ghari rehna mohabbat rog hay dil ka
Tumhain tha bas yehi kehna mohabbat rog hay dil ka
Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar
Unhi kutbon ko pardh laina mohabbat rog hay dil ka
Tumhara sath chaha tau milay anso umer bhar k
Yunhe aankhon ka num rehna mohabbat rog hay dil ka
Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k
Phir soochon main gumm rehna mohabbat rog hay dil ka
Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab
mujhay tum khud he likh daina mohabbat rog hay dil ka
Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main
Maray lafzon ko pardh laina mohabbat rog hay dil ka
Tumhari jaan ka sadqa laho say main chukaaon tau
Subhe say tum yehi kehna mohabbat rog hay dil ka
Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka
Hazaron ghum parain sehna mohabbat rog hay dil ka