Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna
Apnay humaray darmiyan deewar daikhna
Thokra k aap nay humain acha sila diya
Hum they k hum nay chaha so bar daikhna
Lehra diya aap nay parday fizaon main
Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna
Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili
Hum thak gaeiy simt coo-e-yar daikhna
Janay kahan say aap nay seekhien adawatain
Mushkil nehi thaa warna ik bar daikhna
Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohabbtain
Palaray main rakh k aap mera payar daikhna
Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq
Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna
Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi
Apnay jigar ke taqat-e- izhaar daikhna