Monday, November 05, 2012

Main Azal Shaakh Se Toota Hua

Main azal ki shaakh se toota hua 
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua ,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din 
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye 
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua 

Khirkiyon mein, kaghzon mein maiz per
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye 
Ik khazaana hai yahan dooba hua,hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi
Kis ne mera saans hai roka hua?