Sunday, November 18, 2012

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

Kahaan tha itna azaab ashna maira chehra 
Jallay chiraagh tu bujhnay laga, maira chehra 
Woh tairay hijar kay din woh safeer sadiyon kay 
Tu un dinoon mein kabhi daikhta maira chehra 
Judaiyoon kay safar mein rahay hain saath 
Sada tairi talaash, zamany howa maira chehra 
Mairay siwa koi itna udaas bhi tu na tha 
Khizaan kay chaand ko acha laga maira chehra 
Kitaab khool raha tha woh apnay maazi ke 
Warq warq  pay bikharta gaya maira chehra 
Sehar kay noor say dhulti hoe tairi ankhain 
Safar ke gard mein lipta howa maira chehra 
Hawa ka akhri boosa tha ya qayamat thi 
Badan ke shaakh say phir gr para  maira chehra 
Jissay bujha kay hawa soogwar phirti hai 
Woh shama e shaam e safar thi keh maira chehra 
Yeah loug kiyon mujhey pehchantay nahi Mohsin 
Mein sochta hoon kahaan reh gaya maira chehra