Thursday, November 15, 2012

Intezaar Na Karna

Ye saal mahinay din shumaar na karna 
Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna 

Wo keh gaya tha waqt-e-rukhsat ye bhe 
Kisi musaafir ka aitebaar na karna 

Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana 
Apni berbaad haseraton ka izhar na karna 

Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina 
Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna 

Dawa-e-dil k leye kaafi tha os ka ye kehna 
Apni hasti ke hudon ko paar na karna 

Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni 
Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna 

Zakhmon ko apnya see laina tanhaiye main baith kar shaukat 
Ore iss saee main saal mahinay din shumaar na karna