Tuesday, November 06, 2012

Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai

Ik yehi roshni imkaan mein hai 
Tu abhi tak dil-e-veeran mein hai 

Shor barpa hai teri yaadon ka 
Ronaq-e-hijr bayabaan mein hai 

Pyaar aur zindaagi se lagta hai 
Koi zinda dil be-jaan mein hai 

Aaj bhi tere badan ki khushbu 
Tere bhaijay howay guldaan mein hai 

Zindagi bhi hai meri ankhoon mein 
Mout bhee deeda-e-hairaan mein hai 

Dil abhi niklaa nahi seenay se 
Ik Qaidi abhi zindaa mein hai