Wednesday, November 14, 2012

Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye

Ho sakey to rukh say pardey ko hatta kar daikhiye
Aaj apna haal-e-dil hum ko suna kar daikhiye 

Jaan jaaiyen gay wafa mein hum kisi say kam nahin 
Aap bas dil ka dareecha khatkhata kar daikhiye 

Jab kabhi mujh ko bulaaney ki tamana dil mein ho 
Mairey koochey ki taraf bas kasmasa kar daikhiye 

Aap ke zor-o-sitam ko kab talak sehta rahoon 
Mairey jazbon ko kabhi to aazma kar daikhiye 

Ye taqaaza mairi ulfat ne kiya hai aap sey 
Diakhiye jab bhi kabhi to muskura kar daikhiye 

Zeest ki raanaaiyaan hon,Ya nishaat-e-wasl ho 
Ho sakey to mairi aankhon mein sama kar daikhiye 

Kyun jhijhaktey hain humaari khasta haali daikh kar 
Kitni wusat hai humaarey dil mein aa kar daikhiye