Thursday, November 08, 2012

Har Roz Hamey Milna Har Roz Bichardana Hy

Har roz hamey milna har roz bichardana hy 
Mai raat ki parchain to subha ka chera hy 

Alam ka ye sab naqsha bacho ka gharonda hy 
Ek zarey ke qabzey mai sehmi hoi duniya hy 

Hamrah chalon mery ya rah sy hat jao 
Dewar ke roky sy darya kahi rukta hy 

En ke hi isharon par ye raat mili hum ko 
Jin chand sitaray sy chehrey ka saya bhi sunhera hy 

Sannatey ke shakhon par kuch zakhmi parindy hay 
khamoshi bazate-khud awaz ka sehra hy 

Ek gond bhatakti hy sunsan pahardon mai 
Jab raat ke seeny mai dil mera dharakta hy 

Kab jany hawa es ko bikhra dy fizaon mai 
Khamosh darakhton par sehma howa naghma hy