Thursday, November 08, 2012

Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kar

Aye raat sony dy youn tang na kia kar
Bekaar sawalon main paband na kia kar,

Is ke siwa aur bhi zamany ke kaam hain 
Tu mere khayalat be dhang na kia kar

Dunia main aur log bhi basty hain tanha
Tu sirf mere sath hi jang na kia kar

Aay raat sony dy youn tang na kia kar
Mazboot hon,pr itni bhee nahi hon,

Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kar
Aay raat sony dy youn tang na kia kar...