Thursday, November 15, 2012

Ab Or Kis Subha Se Main Aas Lagaon

Ab or kis subha se main aas lagaon 
Jab shaam tak b usko main yaad na aun 

Wo kho gya hai shayed apni rafaqton main 
ab barishon k moasum main yaad kya dilaon 

Tarpa nahi hai ab tak wo kisi ki judaiyon main 
main apne aansoou ko faryaad kyun banaon 

Charcha abhi nahi hai ruswaiyon ka meri 
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon 

Kehta raha hon usko mera sath sath chalna 
Wo agay nikal gaya hai main kahin bichar na jaon