Zindagi honay lagi jub say basar yahoo per
Roze karta hoon naya eik safar yahoo per
Shaam tak rehti hai jaari tugg-o-dua rozi ki
Aur phir raat say hoti hai sahar yahoo per
Faaslay ab kahan haayal rahay insaanon mein
Kar hi laitay hain mulaawat yahoo per
ilm ka aik samandar hai pyaason kay liay
Dekh nadaan koi ilzaam na dhar yahoo per
Sirf dunya hi naheen door khalaaon tak kee
Dhoondnay waalon ko milti hai khabar yahoo per
Yeh alag baat keh awaargiyaan bhi hain bohat
Pakray jaanay ka bhee koi naheen dar yahoo par
Aisa lugta hai keh guzray ga burhaapa kuch youn
Dhyaan maazee mein kaheen gum tau nazar yahoo per