Wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
Hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay
Zakhm per sabt kar na lab apnay
Zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay
Hijr ki shab say honslay apnay
Bach gaye tou sahar bhi daikhain gay
Raat honay do,loog sonay do
Chaand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay
Ik dua dil say chup kay maangi thi
Us dua ka asar bhi daikhain gay
Ik puraana safar tou khatam howa
Ik nayi rahguzar bhi daikhain gay
Gin tou lainay do baykafan laashein
Bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay
Chairr kar dil ki raakh ko
Ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay