Woh dil ka bura na bewaf tha
Bas mujh say youn he bichar gaya tha
Har simat usi ka tazkara tha
Har dil main woh jaisey bas raha tha
Main us ki ana ka aasra tha
Woh mujh say kabhi rootha tha
Main dhoop k bina bhe jal raha tha
Woh saya-e-abbar ban gaya tha
Ek baar bichar k jab mila tha
Woh mujh say bichar k roo para tha
Kya kuch na us say kaha gaya tha
Us nay toh laboon ko see liya tha
Woh chand ka humsafar tha shayad
Raatoun ko tamam jagta tha
Hontoun main gulaab ki naram khushboo
Baatoun main toh shehad gholta tha
Kehney ko juda tha mujh say laikin
WOh meri ragoon main gunta tha
Us nay jo kaha, kya woh dil nay
Inqaar ka kis main hosla tha
Youn dil main thi yaad us ki jaisey
Masjid main chiraagh jal raha tha
Mat poch hijaab k qareenay
Woh mujh say bhi kam hi khul saka tha
Is din mera dil bhi tha pareshan
Woh bhi merey dil say kuch khafa tha
Main bhi tha dara hua se laikin
Rang us ka bhi kuch ura ura tha
Eik khoof sa hijar ki rutoon ka
Dono pay moheet ho chala tha
Ek raah say main bhi tha gurayzaan
Ek moor pay woh bhi ruk gaya tha
Ek pal main chapak gain jo ankhain
Manzar woh nmanzar doosra tha
Soocha toh tehar gayee zamanay
Dekha toh woh door ja chuka tha
Qadmoun say zameen sirak gai thi
Suraj ka bhi rang sanwla tha
Chaltay huey loog bhi ruk gayee they
Thehra hua shehar ghoomta tha
Sehmay huey pair kanptay thay
Pattoon main hiraas rengta tha
Rakhta tha main jis main khuwab apnay
Woh kanch ka ghar chatakh gaya tha
Hum dono ka dukh tha aik jaisa
Ehsaas magar judda judda tha...