Sheher mein teri paziraai na honay dongi
Tu mera hai tujhay harjaai na honay dongi
Chup rahon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoon
Is sy bardh kar teri ruswaai na honay dongi
Yaad aaon gi tujhay achay dinon ki soorat
main mukammal teri tanhaai na honay dongi
Janti hon ke mera hona hay us say mashroot
apnay dushman ki main paspaai na honay dongi
Achay lagtay hain mujh ko parinday lekin
Us ko unka bhi tamannai na honay dongi....