Tuesday, October 23, 2012

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah

Safar per sath chali thi jo rehbaron ki tarah 
Juda huwi wo bhi aakhir musafiron ki tarah 

Main sochta hun wo kaise gayi mujhse
Jo dhoop me milti thi mujhey baadalon ki tarah

Ajeeb larki thi hawaaon se dushmani le kar 
Woh rait per likhti thi mera naam paaglon ki tarah 

Wo chahaton ki mukammal kitaab thi yaaro 
Mujhe fasana sunati thi shaairon ki tarah