Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta
Apne dil mein tujhe basaa leta
Meri kismat badal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ge jee lon ga
Zeher bhi hanste hanste pee lon ga
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti
Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga
Maut ko bhi galey laga hoon ga
Maut bhi aa ke taal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti....