Thursday, October 04, 2012

Humara Dil Dukhana Chahiye Tha

Wafa ko aazamana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha 
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha 
Meri ankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha