Guroor baichay gein na iltajaa khareedain ge
Na sar jhukaayein gein na sar jhuka khareedain ge
Qubool karli hai deewar-e-cheen aankhon ne
Ab anday loog hee raste naya khareedain ge
Jhukain tou osko sakhawaat lagay ye jhukna bhi
Ab apnay qad ka koi devta khareedain ge
Ye ziddi loog hain in se wafaa ki rakh umeed
Jafaa guzeedah, mukarrar jafa khareedain ge
Phir os hujoom ka qibla dursut ho kaisay
Jo qibla baich ke wibla numa khareedain ge
Hum apne sheher ki malika-e-husn ki khaatir
Tumharay sheher se ik Aaina khareedain ge
Meri kitaab hai aur os haseen ki tasweerain
Mujhe pata tou chalay aap kia khareedain ge
Khareedtay rahay hum saada paani gar yunhi
wo din bhi aayega hum sab hawa khareedain ge
har ik cheez baraaye- farokht rakh dain ge
Tumharay pyaar ki hum intehaa khareedain ge
sharaab baichnay waalon pe qais hairaan hun
sharaab baich ke aakhir ye kia khareedain ge