Wednesday, October 31, 2012

Dil Cheer Ke Dikhla Dain Ik Naam Tumhara hay

Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay 
Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay 

Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain 
Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay 

Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay 
Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay 

Ab beech sumandar main aaiy hain tau kya sochain 
Kis simy koe kishti kis simt kinara hay 

Koch phool k patton main kaantay bhe tau hotay hain 
Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay 

Manzil he nehi patay jo chuntay hain rah-e-ishq
Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay 

Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay 
Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay 

Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat 
Din raat tarapnay main bas apna guzara hay