Hazaron dard seeney mein chupaye phir raha hon mein ,
Teri furqat gham dil se lagaye phir raha hon mein,
Lutaa dala hai mene apna sab kuch teri chahat pe
Fakat apni anaa baki bachaye phir raha hoon mein
Teri tasveer,tere khat, teri har ik nishani,
Abhi tak apne seeney se lagaye phir raha hoon mein
Nazar teri kisi din to parre gi mujh pe ae zalim,
Tmasha is liye khud ko banaye phir raha hoon mein,
Bhuja sakta nahi koi hawaye-tund ka jhonka,
Diye aese wafaa ke jalaye phir raha hoon mein,
Urooj ankhain meri pur' nam hain jis ki bewafayi per,
Usi ke khawb ankhon mein basaye phir raha hoon mein...