Aalam-e-hijr mein soya hun, na sona chaahun
Mein teri zaat se mayoos na hona chaahun
Gul tere dil mein khilain aur mehek jaon mein
Isi rishtay mein har insaan ko pirona chaahun
Kiun ganwaara ho tere dard mein bhee shirkar-e-gair
Tu jo yaad aaye tou tanhaayi mein rona chaahun
Justuju ke liye rehta hai bahaana darkaar
Kaho ke paaya jisay,paakar ose khona chaahun
Chaah raha hai mere andar gham-e-anjaam ka abar
Khush bhee hota hun tou aankhon ko bhigona chaahun
Mein hun ik tarfa bhikaari, koi meri bhee suno
Raat ke farsh pe kirnon ka bichona chaahun
Youn tou ik phool ki patti se behel jaata hun
Mein machal jaon tou sehra ka khilona chaahun
Mera mansaab nahee paighabar-e-fun bannay ka
Mein tou ahsaas ko lafzon mein samona chaahun
is zamaanay ka ajab tarz-e-tassawaf hai
Ke mein qatray mein samandar ko dubona chaahun