Ae Maut unhein bhulaaye zamaane guzar gaye,
Aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye,
O jaane waale aa ki tere intazaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,
Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,
Kya laayaq-e-sitam bhi nahin ab main doston
Pathar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,
Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
Aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
Kya kya tavaqqoat thi aahon se ai khumaar
Ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye